zindagi se darte ho !!
zindagi to tum bhi ho, zindagi to ham bhi hain
aadmi se darte ho
aadmi to tum bhi ho aadmi to ham bhi hain
aadmi zubaaN bhi hai, aadmi bayaaN bhi hai
is se tum nahi darte
harf aur maani ke rishta haaye aahan se aadmi hai vabastaa
aadmi ke daaman se zindagi hai vabastaa
is se tum nahi darte
ankahi se darte ho!!
jo abhi aai nahi us gharhi se darte ho
us gharhi ke aane ki aagahi se darte ho
pahle bhi to guzare hain
daur naa rasaai ke, be riyaa, Khudaai ke
phir bhi ye samajhte ho, hech aazru mandi
ye shab zubaaNbandi, hai rahe Khudabandi
tum yahi samajhte ho, tum magar ye kya jaano
lab agar nahi hilte... haath jaag uThte hain
haath jaag uThte hain raah kaa nishaan ban kar
nur ki zubaaN ban kar
haath bol uThte hain subah ki azaaN ban kar
roshni se darte ho
roshni to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain
roshni se darte ho!!
shehar ki fasilon par
dev kaa jo saaya tha, paak ho gaya aakhir
azdahaam e afsaaN se fard ki navaa aai
zaat ki sadaa aai
raah e shauq mein jaise raah ravi khooN lapke
ik naya junooN lapke!!
aadmi chhalak uThe
aadmi haNse dekho, shehar phir base dekho
tum abhi se darte ho
haaN abhi to tum bhi ho, haaN abhi to ham bhi hain
tum abhi se darte ho
zindagi se darte ho!!
