Wo pani ki lehron pay kiya likh raha tha
Khuda janay harf e dua likh raha tha
Likha jis nay nawal wafa ka adhora
Wohi piyar ki itntaha likh raha tha
Bhala kartay kartay guzri jawani
Magar phir bhi khud ko bura likh raha tha
Mohabbat main nafrat mili thi usay bhi
Wo har shakhs ko bewafa likh raha tha
Zara us ki ankhon say ansoon na niklay
Wo jis waqt lafz saza likh raha tha
Namaz e mohabbat main shaid wo apnay
Howay thay jo sajday qaza likh raha tha